page

Friday, August 26, 2011

kitna pyar karte hain tumhe sanam


kitna pyar karte hain tumhe sanam, mere dil se puchh lo naa - 2
ho mere dil se puchh lo naa

bina sans kaise jiye ja rahe hai ham
mere dil se puchh lo naa, puchh lo naa
mere dil se puchh lo naa - (2)

maine tere naam saari jindagi kar di
khwabo me tanhayiyo ki sadagi bhar di
kyon sitamgar hai khudayi kaisi hoti hai judayi
kitna sakt hota hai ye doori kaa gam, (mere dil se puchh lo naa -2)

behte ashko mein chhupi hai pyar ki batein
lamha lamha yaad aati woh mulakate
chahato ki moti ladiya kaise katati hai yeh ghadiya
kiss tarah se karti hai sada yeh sitam, (mere dil se puchh lo naa -2)
kitna pyar karte hain tumhe sanam, (mere dil se puchh lo naa -2)

Thursday, August 25, 2011

Bebasi Bebas Nahi Ghalib

Bebasi bebas nahi ghalib k kuch to hai jiski parda dari hai....

Tuesday, August 23, 2011

pyar hai pyar hai pyar tumse hai

pyaar hai, pyaar hai
pyaar tumse hai
pyaar hai, pyaar hai
pyaar tumse hai

jab se tumko dehka,
mujhe pyaar aiya
zulfon ke fizaiyon
me dil chhor aiya
khoya khoya raita hoon sanam
neend ve kho jaati hai
kaise yeh kahoon mai pagal
dil tukhko chaatha hai
kaise izahar karoon ke tumshe pyaar hai


jo lokh apko dekhte
voh kitne khush naseeb hai
aakhon ke hai dooriyan
magar dil kareeb hai
ik taraf ajab sa nasha [not sure]???
dhoor se khich lata hai
intezaar ke haad se bi voh tera naam kehlata hai
kaise main kahoon ye kaise
tumse pyaar hai


Laakhon me hai ek joh
laarke sabse alag hai
jab mai muskaraon
voh kitne beh khabar hai
palkon me joh behte hai
voh saaso me sumhaiye hai
jab ve paas aate hai voh beech me kyon tan haiye hai
kaise main bataon pagali
tumse pyar hai

Friday, August 19, 2011

KYU MERA DIL (TUM)


Hmm..hmm..hmm..hmm.. oh ho la la la la

Kyun mera dil, oh ho kyun mera dil
Tujhko chaahe tujhko maange kyun mera dil
Aa haan kyun mera dil
Tujhko chaahe tujhko maange kyun mera dil
Tere siva kuchh bhi na soche kyun mera dil
Aa haan kyun mera dil

(Meri jaan na hona khafa -3
Ho meri jaan na hona khafa, ho..)
Kyun mera dil, oh ho kyun mera dil
Tujhko chaahe tujhko maange kyun mera dil
Oh ho kyun mera dil
Tujhko chaahe tujhko maange kyun mera dil
Tere siva kuchh bhi na soche kyun mera dil
Oh ho kyun mera dil

Tere qareeb na aaun main, kaise usse samjhaaun main -2
Bada sataaye, pal pal jalaaye, ye na bhool paaye tujhko
Maane na kaise manaaun main, jaaun kahaan ab jaaun main
(Oh.. (meri jaan na hona khafa) -2, ho..)
Kyun mera dil, oh ho kyun mera dil
Tujhko chaahe tujhko maange kyun mera dil
oh ho kyun mera dil

Teri tamanna ye kare, tere hi chehre pe mare -2
Chaahe subah ho ya dopaher, ye na rehe sake tere bin
Raaton ko ye aahein bhare, tanhaaiyon se ye darre
(oh.. (meri jaan na hona khafa, ho..) -2)
Kyun mera dil, oh ho kyun mera dil
Tujhko chaahe tujhko maange kyun mera dil
Oh ho kyun mera dil
Tujhko chaahe tujhko maange kyun mera dil
Tere siva kuchh bhi na soche kyun mera dil
Oh ho kyun mera dil
Kyun mera, dil

Monday, August 15, 2011

Tanhai hai pyar mein, barbadi hai pyar mein,

Tanhai hai pyar mein, barbadi hai pyar mein,

aasu hai pyar mein, bebasi hai pyar mein,

gum bhi hai pyar mein, haar bhi hai pyar mein,

HAMEIN SAB PATA HAI, LEKIN KYA KARE HUM BHI HAI PYAR MEIN

Sunday, August 14, 2011

jaane kyun mein tujhko din raat sochta hu


Aa haa, aa haa, aa haa
La la, la la, la la la
Jaane kyun main tujhko din raat sochta hoon
Jaane kyun main teri har baat sochta hoon
Yeh paagalpan hai yaa pyaar hai
Yeh kaisa mujhpe khumar hai
Har pal ho tujhse meri mulaqat sochta hoon
Jaane kyun main tujhko din raat sochta hoon

Tere khayalon mein khoye rehna
Mera kaam ab yehi hai
Yeh jaan le tu ki pagal dil ka
Paigham ab yehi hai paigham ab yehi hai
Ho jaye shaayad koi karamat sochta hoon
Jaane kyun main tujhko din raat sochta hoon
Jaane kyun main teri har baat sochta hoon

Milne ko aksar mile tu mujhse
Phir bhi hain faasle kyun
Dil ki lagi ne banaye hain yeh
Benaam silsile kyun benaam silsile kyun
Badlenge kaise ab yeh haalat sochta hoon
Jaane kyun main tujhko din raat sochta hoon
Jaane kyun main teri har baat sochta hoon
Yeh paagalpan hai yaa pyaar hai
Yeh kaisa mujhpe khumar hai
Har pal ho tujhse meri mulaqat sochta hoon
Jaane kyun main tujhko din raat sochta hoon

acha lagta hai (movie-aarakhshan)


Jhatak Kar Zulf
Jab Tum Tauliye Se
Baarishein Aazad Karti Ho
Acha Lagta Hai

Hilakar Honth Jab Bhi
Haule Haule
Guftagu Ko Saaz Karti Ho
Acha Lagta Hai

Ho..khusboo Se Behlao Na
Seedhe Point Pe.. Aao Na
Aaankh Mein Aankhein
Daal Ke Kehdo
Khwaabon Mein Tehlao Na
Zara Short Mein Batlao Na
Seedhe Point Pe.. Aao Na
Seedhe Point Pe.. Aao Na

Alag Ehsaas Hota Hai
Tumhare Paas Hone Ka
Sanakti Sarsarahat Ki Nadi
Mein Reshami Lamhein
Bhigone Ka..
Ho Ho Ho
Zara Sa Modkar Gardan
Jab Apni Hi Adaa Pe
Naaz Karti Ho
Acha Lagta Hai

Ho..Lafzon Se Behlao Na
Jhuthi Muthi Behkao Na
Haathon Ko Haathon Mein Leke
Woh Teen Shauk Tapkao Na
Zara Short Mein.. Batlao Na
Seedhe Point Pe Aao Na
Haan..seedhe Point Pe Aao Na

Woh Tere Dhyaan Ki Khushboo
Main Sar Tak Odh Leta Hoon
Bhatakti Saans Ko Teri Gali
Mein Gungane Chod Deta Hoon
Ho Ho Ho

Tum Apni Khidkiyon Ko
Kholkar Jab Bhi Naye
Aagaz Karti Ho
Achi Lagta Ho

Ho..Gali Gali Gali
Gali Gali Gali Bhatkao Na
Ghadi Ghadi Uljhao Na
Senti Ho Main Jaan Gayi Hoon
Action Bhi Dikhlao Na
Zara Short Mein.. Batlao Na
Seedhe Point Pe.. Aao Na
Ho..seedhe Point Pe Aao Na

Aa..
Ho Seedhe..ho Seedhe ..
Ho..seedhe Point Pe Aao Na

Tuesday, August 9, 2011

my tears


Mujhe nafrat hone lagi hai khud se or usse jisne mujhe banate wakt tumhe apni nazro ke samne nahi rakha shayad ye uski galti nahi shararat thi mujhse tabhi usne tumse mila kar bhi juda kar diya ye dikhane ke liye ke ye bhi tumhara ho sakta tha jise maine tumhari kismet mai nahi likha is baat ka pata to uske paas jakar hi chalega ki akhir use mujhse itni dushmani kyu hai. Log aksar kehte hai ki aapki kissmat apke hi hatho mai hai par mai ye kaise maan lu kyuki meri kissmat to tumhari ek ha ya na mai chipi hai. Mera takdeer par to itna bharosa tha hi nahi par mere dil ne bhi mujhe dhokha hi diya kamkhat esi cheej ko chahne laga jo uski hohi nahi sakti. Jee chahta hai ise khud se alag kardu par ise tumhara naam lene se fursat mile to mai isse is bare mai baat karu. In modo se bhare raston par chalne ke liye mere kadam beshak mera sath de rahe the par inhe bhi shayad peeche se aate kisi saye ki adaat ho gai hai tabhi ab chalne mai jara ladkhada rahe hai. maine in ankho se bhi lakh kaha ke uski tasveer nikal de par ye na mania b bhugat rahi hai or behkar yadein mitane lagi hai par shayad inhe thoda wakt lage kyuki jinhe harpal dekhti thi unki yadein mitana shayad itna bhi aasan nahoga.......

Written by : abhishek shukla

Hame har ghari aarjoo hai tumhariiiiiii


Hame har ghari aarjoo hai tumhariiiiiiii  hoti hai kaisi sanam bekarariiiiiiii,
  milenge jo tum ko batayenge hummmmmmmmmmm bohot pyar karte hai tumko sanam kasam chahe le lo khuda ki kasam ..............

Friday, August 5, 2011

Jaane Kyu Aisa Us Din Mere Saath Hua Tha

Jaane Kyu Aisa Us Din Mere Saath Hua Tha,
Unhone Kaha Tha Milaaingey Jarur Aur Hum Intzaar Karte Rahe,

Shaam Bhi Dhal Gayi, Tufaaan Bhi Aane Lage,
Mere Jasbaatoon Ki Tarha Badaal Bhi Barasney Lage,
...
Logo Ne Mujhe Dekha Aur Kaha Lagta Hai Dewani Hai,
Hontho Pe Hasi Hai Iske Aur Aankho Me Kaisa Pani Hai

Vadaa Nibhana Tha Hum Vahi Khade Rahe,
Vo Na Aaye Par Hum Kuch Soch Kar Vahi Bas Khade Rahe,

Juthey Se Ho Gaye They Hum Apne Aap Se Us Din,
Par Bas Hum Bin Soche Samajhe Kuch Unka Intzaar Karte Rahe

Thursday, August 4, 2011

RONE DE TU AAJ HAMAKO TU AANKHE SUJANE DE

RONE DE TU AAJ HAMAKO TU AANKHE SUJANE DE
BAHO ME LELE AUR KHUD KO BHEEG JANE DE
HAI JO SEENE ME QUAID DARIYA WO CHUT JAYEGA HAI ITANA DARD KI TERA DAMAN BHEEG JAYEGA..

Maine dil se kaha dhoond laana khushi

Maine dil se kaha, dhoond laana khushi
Nasamajh laya gum, to yeh gum hi sahi

Maine dil se kaha, dhoond laana khushi
Nasamajh laya gum, to yeh gum hi sahi
Maine dil se kaha dhoond laana khushi


Bechaara kahan jaanta tha
Khalish hai yeh kya khala hai
Shehar bhar ki khushi se
Yeh dard mera bhala hai
Jashna yeh raaz na aaye
Mazaa toh bas gam main aaya hai

Maine dil se kaha, dhoond laana khushi
Nasamajh laya gum, to yeh gum hi sahi

Kabhi hai ishq ka ujaala
Kabhi hai maut ka andhera
Bataao kaun bes hoga
Main jogi banu ya lutera
Kayi chehre hai is dil ke
Najaane kaunsa mera

Maine dil se kaha dhoond laana khushi
Nasamajh laya gum, to yeh gum hi sahi

Hazaaron aaise phaasle the
Jo Tai karne chale the
raahe magar chal padi thi
Aur peeche hum rah gaye the
kadam Do chaar chal paaye
Kiye phere tere mann ke

Maine dil se kaha, dhoond laana khushi
Nasamajh laya gum, to yeh gum hi sahi

Maine dil se kaha, dhoond laana khushi
Nasamajh laya gum, to yeh gum hi sahi

Tuesday, August 2, 2011

Husn or aag mai koi khas fark nahi hota

Husn or aag mai koi khas fark nahi hota dono hi door se behad khoobsurat lagte hai or dono ke jitne kareeb jaao garmi utni hi badti hai or aapko puri tarah barbaad karlene tak dono hi apne pure khumaar par hote hai

Written by- Abhishek shukla

Monday, August 1, 2011

Bas itni si gujarish hai

Bas itni si gujarish hai ki mera dil tutne se pehle mujhe ji bhar kar muskura lene do
Mujhse bohot door jaane se pehle mujhe apne paas beth kar ek baar jee bhar kar dekh lene do
Bas itni si gujarish hai ki mujhe mere khayalo me hi sahi par itni ijajat do ke mai tumhe apna keh saku
Ye jaante hue k ye dil pehle hi kisi or ka ho chukka hai par mujhe ek baar ispar haq jatane ka moka do
Bas itni si gujarish hai ki jo rahe mushkilo se bhari hai unpar sath chalne ka jhutha hi sahi par wada to do
Mana aapki manjile alag hai par jitni der safar mai ho utni der hi sahi par sath to chalo
Bas itni si gujarish hai agrar mujhse pyaar nahi kar sakti to itni nafart karo ke meri jaan le sako
Bahana khatarnak hi sahi par apne kareeb lane ka or koi chara bhi to nahi.....

share this

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...