page

Sunday, August 14, 2011

jaane kyun mein tujhko din raat sochta hu


Aa haa, aa haa, aa haa
La la, la la, la la la
Jaane kyun main tujhko din raat sochta hoon
Jaane kyun main teri har baat sochta hoon
Yeh paagalpan hai yaa pyaar hai
Yeh kaisa mujhpe khumar hai
Har pal ho tujhse meri mulaqat sochta hoon
Jaane kyun main tujhko din raat sochta hoon

Tere khayalon mein khoye rehna
Mera kaam ab yehi hai
Yeh jaan le tu ki pagal dil ka
Paigham ab yehi hai paigham ab yehi hai
Ho jaye shaayad koi karamat sochta hoon
Jaane kyun main tujhko din raat sochta hoon
Jaane kyun main teri har baat sochta hoon

Milne ko aksar mile tu mujhse
Phir bhi hain faasle kyun
Dil ki lagi ne banaye hain yeh
Benaam silsile kyun benaam silsile kyun
Badlenge kaise ab yeh haalat sochta hoon
Jaane kyun main tujhko din raat sochta hoon
Jaane kyun main teri har baat sochta hoon
Yeh paagalpan hai yaa pyaar hai
Yeh kaisa mujhpe khumar hai
Har pal ho tujhse meri mulaqat sochta hoon
Jaane kyun main tujhko din raat sochta hoon

No comments:

Post a Comment

share this

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...